Best Deals

Sunday, January 11, 2015

Main Tujhse Pyaar Nahin Karta Lyrics – Baby

Main tujhse pyaar nahin karta
Main tujhse pyaar nahin karta
Par koi aisi shaam nahin
Jab main apni tanhayi mein
Tera intezar nahin karta
Main tujhse pyaar nahin karta
Dil se yeh kehta rehta hoon
Par teri saanson mein chhup ke
Main saansein leta rehta hoon
Is-se inkar nahin karta
Main tujhse pyaar nahin karta
Mujhe kuchh bhi yaad nahin rehta
Kab din dooba, kab raat huyi
Abhi kal ki baat hai
Pehron tak meri deewaron se baat huyi
Jo hosh zaraa sa baaki hai
Lagta hai khone waala hoon
Afwaah udi hai yaaron mein
Main paagal hone waala hoon
Main tujhse pyaar nahin karta
Main tujhse pyaar nahin karta
Main tujhse pyaar nahin karta
Par aisa koi din hai kya
Jab yaad tujhe, teri baaton ko
Sau sau baar nahi karta
Sau sau baar nahi karta
Main tujhse pyaar nahin karta

No comments: